ghazal sms

|

Be-karaan tanhaiyn k silsila rh jaayega
Tery mery darmiyaan bas aik khalaa rh jay ga

Aks beh jaayenge saarey dhoop k sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jay ga

Mujhko mery humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gya tu faasla reh jay ga

Log so jayn gy khaamushi ki chadar odh kr
Chaand sooney aanganoun mein jaagta rh jay ga




*****************



Kaisay kahn k apna bana lo mujhy
bahoun mein apni sama lo mujhy

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahn
Tum aa ker mujhi say chura lo mujhy

Meri sab say gehri khuwahish ho puri
Tum agar pass apnay bula lo mujhy

Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai
Tumhara hoon mein to sambhalo mujhy

Najany phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apny dil say kabhi tum nikalo mujhy




*****************



jane kiun woh sanso ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalny kawasta dekar mujhy rokny nahi deta

bat kehta hai woh mujh sy hans hans kar ji leny ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain sy rony nahi deta

ajj hosla deta hai mujhy chand sitaron ko cho leny ka
woh piar sy chehra mujhy toot kar bikharny nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girny nahi deta

mujh sy kehta hai main to mar jaon ga tumhry bina
main zinda hon ab tak woh mujhy marny nahi deta




*****************



Bharosa toot janay sy zara pahlay bata daina
Mujhy tum azmany se zara pahly bata daina
Kisi heely bahany sy zara pahly bata daina
K mujh ko tum bholany sy zara pahly bata daina
Zamin ke rait pe tum ny mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitany sy zara pahly bata daina
Mairy dilber k is dill pr main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay sy zara pahly bata daina
Kisi bhe mor pe Mohsin bura pao agar mujh ko
zara pahly bata daina ....




*****************



Main Tera Aitbar Karta Hun
Is Liye Intezar Karta Hun.

Raaz Rakhna Tha Teri Chahat Ko
Tazkary Bar Bar Karta Hun.

Bhool Sakta Nahi Agar Chahon
Kyun k Main Tumsy Pyar Karta Hun.




*****************



Mohabbaton K Nisaab Jesa
Woh Ik Chehra Keetab Jesa.

Mahakta Hai Mere Qalb-o-Jaan My
Woh Shaks Khilty Gulab Jesa.

Yaqeen Bhi Hai Woh Mery Dil Ka
Gumaan Bhi Hai Saraab Jysa.

Woh Bansuri Hai Jo Hont Rakhon
Jo Dekhon Chhoo K, Rubab Jesa.




*****************



Uski maasoom nigahyn jaisy meri nazron se mili
Uske hothon py khamosh si harkat thi

AAB-E-DEEDAH sy meri bebasi yun byan hoi
Zamaany k shor mein yun aakhri mulaqaat anjaam hui.




*****************



Tum jo khwaaboun mein kah gaye thay roz aaney ko
Mout aaty hai baarhaa mujhy sulaany ko

Yun to, gunchah bhi bikharney key liye khiltaa hai
Log kahty hain khatawar par zamaany ko.




*****************



Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ny Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chalty jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga




*****************



Humesha muskura k aansooun ko chupaya
Ghum ko chupany k yahi rasta nazar aaya

Kis kis ko bataty behty ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis ny jagaya




*****************



Saath chalny main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
sath apny koi chala hota




*****************



Ab Agar Aao To Jaany k Liye Mat Aana
Sirf Ahsan Jatany k Liye Mat Mana

Maine Palkon Py Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki sou Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batany k Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhany ke Liye Mat Aana




*****************



Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Say Dar Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Say Dar Lagta Hai

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon K Aansoo Hi Diye
Zindagi Ab Teri Saughaat Say Dar Lagta Hai

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Say Dar Lagta Hai

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Say Dar Lagta Hai




*****************



Bas ek zara khayal iss dosti ka ha
Warna bohut gila teri berukhi ka tha

mujko laga main be teri zindagi mai hoon
Par yeh tho koi dhoka meri saddgi ka tha




*****************



tumhain rusva karun aisa tu hargiz ho nai sakta
tumhari yad hi dil ko bhot be-chain rakhti hy

tumhain pany ki aik mohum si umeed rehti hy
mai apni sargazishton se tumhain agah kr betha




*****************



Udaas nahi hona kyonki my saath hu,
Saamne na sahi par aas-paas hon,

Palko ko band karo jab bhi dil me dekhoge,
Mein har pal tumhaare sath sath hon.




*****************



Jo Haadsay Yeh Jahan Mery Naam Kerta Ha
Meraa Shaour Unhein Nazr-e-Jaam Kerta Ha

Hamaray Chaak Greibaan Say Khailnay Walo!
Humein Bahaar Ka Soraj Salam Kerta Ha




*****************



us ko juda huay bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qisa puranaa bahut hua

dhalti na thi kisi bhi jatun sy shab-e-firaq
ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua




*****************



tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum sy to kam gila hai ziyada nasib se

goya tumhari yad hi mera ilaaj hai
hota hai pahron zikar tumhara tabib se

barbad-e-dil ka akhri saramaya thi umid
vo bhi to tum ne cheen liya mujh garib se

dhundla chali nigah dam-e-wapasi hai ab
a pas a ke dekh lu tujh ko qarib se




*****************



chand nikle kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka

dida-o-dil ko sambhalo k sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham puhuncha hai ruswai ka




*****************



Main bhi khamosh nigahon say usay dekhta hoon,
Wo bhi chupke say kabhi aa k sada deti hai,

Kya khabar kal ki magar hamne suna hai aksar,
Rafta rafta yeh ada pyar barha deti hai.......!!!




*****************



Zikr-e-ulfat jab chala ek hadsa yaad aagaya,
Zakham dilke has diye wo bewafaya yaad aagaya,

Is tarah na guzri dardke maron ki raat,
Dard kuch itna badha bus khuda yaad aagaya...




*****************



Dostee ghazal hai gungunaanay kay liyee,
Dostee naghma hay sunanay k liye,
Yeh woh jazba hay jo sub ko milta nahin,
Kiyon k hosla chahiye dosti nibhanay k liye..




*****************



kuch din tou basso mayree aankhon mein
fir khawaab ager hoo jaoo tou kiyaa

koee rang tou do meray chehray ko
fir zakham ager mehakao tou kiyaa

ik aiyeena thaa soo tooot gayaa
ab Khood say ager sharamaoo tou kiyaa

mein tanha thaa mein tanha hooN
tum aaoo tou kiyaa, naa aaoo tou kiyaa




*****************

0 comments:

Sms4maza on Facebook
 
!!Link Partners!!
Funny Sms Jokes | Funny Sms | Sexy Sms | Seo Lahore | Watch Movies | HD Movies

Sms4Maza Funny Sms Jokes, Text Messages & Jokes, Sexy, Birthday, sardar, Funny, Pathan, Diwali, Love, Cute, Friendship, Faraz, Romantic, Poetry, Ghazals, Eid.